Posts from the ‘Love Sayari’ Category

Meri Dewaangi Hai Tu

Mai shayar ban gya meri shayari hai tu,
Mai ashiq ban gya meri ashiqi hai tu,
Kya hal hai mere dil ka,
Mere dil ki wo deewangi hai tu.

Meri Dua

aapki shayaree to kamaal hai
ek sachche aashiq ki misaal hai
khuda kare aap apna pyaar paye
yehi meri bhi khuda se dua hai.

Intezaar

Maut par bhi hai yakeen
un par bhi aitabaar hai
dekhte haiN pahle kaun aata hai
dono ka intzaar hai

Humare Dilo Me Basi Mohabbat Ho Tum

Mere dil mein basi hararat ho tum,
Meri aankhon ko mili shararat ho tum,

Dekhun tumhein to paalun mein duniya,
Na milo to milne ki baghavat ho tum,

Tumhari khamoshi keh jaati hai kai baatein,
Jise yaad karta hai dil kai raatein,

Tumhare nanhe nanhe se haath aur badi badi baatein,
Yaad reh jaati hein tumse hui sab mulakatein,

Ummeed ho hamari aanewala kal ho tum,
Hamare dilon mein basi mohabbat ho tum…

Kisi Ke Khatir

Kisi ke khatir mohabbat ki inteha kar do…..
Lekin itna bhi nahi ki usko khuda kar do…….
Mat chaho kisi ko toot kar itna……
ki apni hi wafao se usko bewafa kar do……

Teri Aankhon Pe Kabhi Aansu Na Aaye

Teri aankhon se kabhi aansu na aaye
dil ki deewaron pe ghum ki dhul na aaye
chahe koi tujhe hum se bhi zyada
aaisa tho poore zamane mein nahi

Humesha Rahegi Zaroorat Tumhari

Mili Har Qadam Per Rafaqat Tumhari,
Kahan Hum Kahan Yeh Inayat Tumhari,

Humay Chahiya Bus Ta’aluq Tumhara,
Mohabbat Milay Yah Adawat Tumhari,

isi Say Bhe Milna Usay Jeet Laina,
Bari Dil Nashen Hay Yeh Adat Tumhari,

Na Dekha Jahan Main Koi Aur Tum Sa,
Bari Munfarid Hay Tabiyat Tumhari,

Humhay Zindagi Kay Kaen Rastoon Par,
Hamesha Rahe Gi Zaroorat Tumhari.

Mujhe Dil Mein Basale

Main akeila hoon….
Mujhe raasta batadey

Mera manzil hai nehi koi
mujhe manzil dikadey

Kahi bhatak naa jao
to daaman pakarley

Main wohi hoon teri sanam
mujhe dil main basaley

Shamma Ki Aagosh Mein

“Ab jagti hai na soti hai
shamma ab her pal roti hai”

Bahut khoob herdil azziz Cheeze
inayet ki hai Miyan aapne. Bahut
mubarek baad aur shukriya.Aapke
Nazar ye ek sher pesh karta huin
gaur phermain.

“Shamma ki aagosh main jalte hain perwaane,
yuhi he rafta rafta mit te hain afsane.”


Hum Harte Chale Gaye

Raat kya dhali, Sitare Chale Gaye.
Gairon se kiya Gila jab, Apne Chale Gaye
Jeet to sakte the Hum Ishq ki bazi,
magar Tumhe jitane ke liye hum harte chale gaye….